Mughal-E-Azam (1960):
"Taqdeerein badal jaati hai, zamana badal jaata hai, mulkon ki trikh badal jaati hai, Shahenshah badal jaate hai. Magar is badalti hui duniya mein mohabbat jis insaan ka daaman thaam leti hai woh insaan nahi badalta."
Devdas (1955):
"Kaun kambakth hai jo bardasht karne ke liye peeta hai. Main toh peeta hoon ke bas saans le sakoon."
Shakti (1982):
"Jo log sachai ki tarafdari ki kasam khate hain....zindagi unke bade kathin imtihaan leti hai."
Karma (1986):
"Tumhari zindagi mere haath mein hai aur tumhari maut bhi."
Saudagar (1973):
"Haq hamesha sar jhukake nahin... sar uthake maanga jaata hai."
Vidhaata (1982):
"Kagazaat par dastakat main hamesha apne kalam se karta hoon."