Meena Kumari death anniversary: We bring you some of her most epic shayaris


Mumbai: One of the most talented actresses in Bollywood Meena Kumari’s death anniversary is being observed today. During her career spanning 30 years from childhood to her death, she stared in more than 90 films included Pakeezah, Sahib Bibi Aur Ghulam, Mere Apne, Aarti, Baiju Bawra, Parineeta, Dil Apna Aur Preet Parai, Foot Path, Char Dil Char Rahen, Daera, Azaad, Miss Mary, Sharada, Dil Ek Mandir, Kaajal, Chirag Kahan Roshni Kahan, Majhli Didi, Phool Aur Patthar, Bhabhi Ki Chudiyan, Yahudi, Halaku, Baadbaan and Kohinoor.

Also Read: Shayaris: Our ten most poignant picks from Ghalib to Gulzar

Meena Kumari breathed her last breath in Mumbai after the release of her landmark film Pakeezah. Meena’s real name is Mahjabeen and she was born to a poor  theatre artist. At the young age of 14 baby Meena became the heroine Meena Kumari in Ramnik Production’s Bachchon Ka Khel (1946). She was not only an artist, Meena Kumari was a playback singer and a poet as we;;. She would write urdu sayari in her diary. Which was given to Gulzar before her death. She was a good poet and had a great flair and delicacy for which was given her due in her lifetime. Here are some of poetry which was written by her…


Hansi thami hai in ankhon mei yuun nami ki tarah,

Chamak uthe hain andhere bhi raushni ki tarah,

Tumhara naam hai ya aasmaan nazron mein,

Simatt geya meri gum-gashtaa zindagi ki tarah,

Kohra hai dhundh dhuanh hai woh jis ki shakal nahin,

Ke dil yeh ruuh se lipta hai ajnabi ki tarah,

Tumhare haathon ki sarhad ko paa ke thehri hun,

Khalaayen zinda ragon mei hain sanssani ki tarah…

——————————-

Ayaadat hoti jaati hai ibaadat hoti jaati hai,

Mere marne ki dekho sab ko aadat hoti jaati hai,

Nami si aankh mei aur hont bhi bheege huye se hain,

Yeh bheega-pan hai dekho muskuraahat hoti jaati hai,

Tere qadmon ki aahat ko yeh dil hai dhuundta har dum,

Har ik awaz pr ik thartharaahat hoti jaati hai,

Yeh kesi yaas hai rone ki bhi aur muskuraane ki,

Yeh kaisa dard hai ke jhunjunaahat hoti jaati hai,

Kabhi to khuubsurat apni hi ankhon mei aise they,

Kisi gham khana se goya mohabbat hoti jaati hai,

Khud hi ko taiz nakhunon se haaye nochte hain ab,

Humen Allah khud se kaisi ulfat hoti jaati hai…

———————–

Poochhte ho to suno kaise basar hoti hai

raat Khairaat ki sadqe ki sahar hotii hai

saanss bharane ko to jeena nahi kahte ya rab

dil hi dukhtaa hai na ab aasteen tar hotii hai

jaise jaagi hui aankhon me chubhen kaanch ke Khvaab

raat is tarah deevaano ki basar hoti hai

Gham hi dushman hai mera Gham hi ko dil Dhoondhta hai

ek lamhe kii judaayi bhii agar hotii hai

ek markaz kii talaash ek bhatakatii Khushbu

kabhi manzil kabhi tamhiid-e-safar hotii hai

———————-

Tumhe Chahaa Hum ne Dil Samaj kar

Dhoka Kha Gaye Manzil Samaj kar

Ghamon ki Mom Thhandi ho Gayi Hai

Bahut Achha Kiya, Sangdil Samaj Kar

Palat kar Yoon Na Dekho Tum Mujhe Bus

Tadapata Chhod Do Bismil Samaj kar

Tamannao ne Yoon Jhatka hai Daaman

Nakaam-e-Zist ko Buzdil Samaj kar

———————-

chand tanha hai asman tanha

dil mila hai kahan kahan tanha

bujh gai as chup gaya tara

thartharata raha dhuan tanha

zindagi kya isi ko kahte hain

jism tanha hai aur jan tanha

hamsafar koi gar mile bhi kahin

donon chalte rahe tanha tanha

jalti bujhti si raushani k pare

simta simta sa ek makan tanha

rah dekha karega sadiyon tak

chor jayenge ye jahan tanha

——————————————

aaGaaz to hota hai anjaam nahi hotaa

jab merii kahaani me vo naam nahi hotaa

jab zulf ki kaalikh me ghul jaaye koi rahi

badnaam sahi lekin gumnaam nahi hotaa

has has ke javaan dil ke ham kyun na chune tukde

har shaKhs ki qismat me inaam nahi hotaa

bahate hue aansuu ne aankho se kaha tham kar

jo mai se pighal jaaye vo jaam nahi hotaa

din Duube hain yaa duubii baaraat liye kashti

saahil pe magar koi koharaam nahiin hotaa

———————–

ye rat ye tanhai

ye dil k dharakne ki awaz

ye sannata

ye dubte taron ki

khamosh gazalkhwani

ye waqt ki palkon par

soti hui wirani

jazbat-e-muhabbat ki

ye akhri angrai

bajti hui har janib

ye maut ki shahnai

sab tum ko bulate hain

pal bhar ko tum a jao

band hoti meri ankhon main

muhabbat ka

ik Khwab saja jao

—————————————–

tukde tukde din beeta, dhajji dhajji raat mili

jiskaa jitna aanchal tha, utni hi saugaat mili

jab chaahaa dil ko samjhen, hansne ki aavaaz suni

jaise ko’i kahtaa ho, le phir tujh ko maat mili

maaten kaisi, ghaateN kyaa, chalte rahnaa aath pahar

dil sa saathi jab paayaa,be-chaini bhi saath mili

———————

ALLAH kare ki koi bhi meri tarah na ho

allah kare ki ruh ki koi satah na ho

tute hue haathon se koi bheekh na mange

jo farz tha weh karz hai, par is tarah na ho

socha tha khushbuon se sanse basayenge

cheekha lahu ki dekho ye kaus-e-kajah na ho………

————————-

ye noor kaisaa hai

raaKh kaa saa rang pahne

barf kii laash hai

laave kaa saa badan pahne

guuNgii chaahat hai

rusvaa’ii kaa kafan pahne

har ek qatraa muqaddas hai maile aaNsuu kaa

ek hujuum-e-apaahij hai aab-e-kausar par

ye kaisaa shor hai jo be-aavaaz phailaa hai

rupahlii chaaNv meN – badnaamioN kaa Deraa hai

ye kaisii jannat hai jo chaunk-chaunk jaatii hai

ek intizaar-e-mujassam ka naam – Khamoshii

aur ehsaas-e-bekaraaN pe ye sarhad kaisii?

dar-o-diivaar kahaaN ruuh kii aavaargii ke

nuur kii vaadii talak lams kaa ek safar-e-taviil

har ek moR pe bas do hii naam milte haiN

maut kah lo – jo muhabbat nahiiN kahne paa’o

~Meena Kumari~