Happy Birthday Javed Akhtar: Top 5 timeless gazals of ‘Jadu’

Veteran writer- lyricist Javed Akhtar is celebrating 73rd birthday today. His real name is ‘Jadu’, which is taken from a line in a poem penned by his father, “Lamha lamha kisi jadoo ka fasana hoga”.
Javed Akhtar is a mainstream writer and some of his most successful work was carried out with Salim Khan, as half of the script between 1971 and 1982 were credited to Salim- Javed. They wrote 24 films, 20 were hit, including 2 Telugu films – ‘Manushulu Chesina Dongalu’ and ‘Yugandhar’ and one Kannada film – ‘Premada Kaanike’.
Javed used to assist Urdu poet Kaifi Azmi. He subsequently married Kaifi’s daughter, Shabana Azmi, after his marriage ended with Honey Irani.
Here Top 5 timeless ghazals of Javed Akhtar
-
01
Dil mein mahak rahe hain kisi aarzu ke phul
Dil meñ mahak rahe haiñ kisī aarzū ke phuul
palkoñ pe khilne vaale haiñ shāyad lahū ke phuul
ab tak hai koī baat mujhe yaad harf harf
ab tak maiñ chun rahā huuñ kisī guftugū ke phuul
kaliyāñ chaTak rahī thiiñ ki āvāz thī koī
ab tak samā.atoñ meñ haiñ ik ḳhush-gulū ke phuul
mere lahū kā rañg hai har nok-e-ḳhār par
sahrā meñ har taraf haiñ mirī justujū ke phuul
dīvāne kal jo log the phūloñ ke ishq meñ
ab un ke dāmanoñ meñ bhare haiñ rafū ke phuul
-
02
Aaj maine apna phir sauda kiya
Aaj maiñ ne apnā phir saudā kiyā
aur phir maiñ duur se dekhā kiyā
zindagī-bhar mere kaam aa.e usuul
ek ik kar ke unheñ bechā kiyā
bañdh ga.ī thī dil meñ kuchh ummīd sī
ḳhair tum ne jo kiyā achchhā kiyā
kuchh kamī apnī vafāoñ meñ bhī thī
tum se kyā kahte ki tum ne kyā kiyā
kyā batā.ūñ kaun thā jis ne mujhe
is bharī duniyā meñ hai tanhā kiyā
-
03
Abhi zamir mein thoDi si jaan baqi hai
Abhī zamīr meñ thoḌī sī jaan baaqī hai
abhī hamārā koī imtihān baaqī hai
hamāre ghar ko to ujḌe hue zamāna huā
magar sunā hai abhī vo makān baaqī hai
hamārī un se jo thī guftugū vo ḳhatm huī
magar sukūt sā kuchh darmiyān baaqī hai
hamāre zehn kī bastī meñ aag aisī lagī
ki jo thā ḳhaak huā ik dukān baaqī hai
vo zaḳhm bhar gayā arsa huā magar ab tak
zarā sā dard zarā sā nishān baaqī hai
zarā sī baat jo phailī to dāstān banī
vo baat ḳhatm huī dāstān baaqī hai
ab aayā tiir chalāne kā fan to kyā aayā
hamāre haath meñ ḳhālī kamān baaqī hai
-
04
Ye duniya tumko ras aae to kahna
Ye duniyā tum ko raas aa.e to kahnā
na sar patthar se Takrā.e to kahnā
ye gul kāġhaz haiñ ye zevar haiñ pītal
samajh meñ jab ye aa jaa.e to kahnā
bahut ḳhush ho ki us ne kuchh kahā hai
na kah kar vo mukar jaa.e to kahnā
badal jāoge tum ġham sun ke mere
kabhī dil ġham se ghabrā.e to kahnā
dhuāñ jo kuchh gharoñ se uTh rahā hai
na puure shahar par chhā.e to kahnā
-
05
Main pa saka na kabhi is Khalish se chhutkara
Maiñ pā sakā na kabhī is ḳhalish se chhuTkārā
vo mujh se jiit bhī saktā thā jaane kyuuñ haarā
baras ke khul ga.e aañsū nithar ga.ī hai fazā
chamak rahā hai sar-e-shām dard kā taarā
kisī kī aañkh se Tapkā thā ik amānat hai
mirī hathelī pe rakkhā huā ye añgārā
jo par sameTe to ik shāḳh bhī nahīñ paa.ī
khule the par to mirā āsmān thā saarā
vo saañp chhoḌ de Dasnā ye maiñ bhī kahtā huuñ
magar na chhoḌeñge log us ko gar na phunkārā